pakka aana

Shaadi ke card log ignore karte hain. Ye wala nahi.

tap. pull. pakka aana.

Ek link. Khulta hai jaise asli card, aur date tassel kheench ke milti hai.

Pehla preview 24–48 ghante mein.

Kaise kaam karta hai

  1. Details bhejo

    Naam, taarikh, functions, photos, gaana. WhatsApp pe hi, aaram se.

  2. 24–48 ghante mein preview

    Aapka invite, aapke phone pe. Dekho, badlav batao.

  3. Link share karo

    Ek link. WhatsApp, Insta, kahin bhi. Sab khol lenge.

Kya milta hai

  • Kitaab khulti hai

    Tap karo. Card khulta hai, jaise asli.

  • Date pe tassel

    Pull karo. Taarikh saamne.

  • Function cards

    Har rasm — time, jagah, dress code.

  • Photo story

    Aapki tasveerein, caption ke saath.

  • Map aur rasta

    Ek tap, Google Maps khul jaata hai.

  • Aapka gaana

    Dheere se, pehle tap pe.

  • Countdown

    Din, ghante, minute. Chalta hua.

  • Teen zubaan

    Hindi, English, Hinglish.

  • WhatsApp preview card

    Link bhejo, poora card dikhta hai. Sirf link nahi.

Kitne ka

Is season sirf 10 shaadiyan

Basic

₹1,999

  • Book invite — date reveal, function cards, map, gaana, countdown
  • 6 photos tak
  • Ek zubaan
  • Hamara palette — wine aur gold
  • 2 round badlav
  • Preview 48 ghante mein
  • Link shaadi ke 1 mahine baad tak live
Ye wala chahiye

Royal

₹5,999+

extra invites ya custom illustration pe

  • Premium ka sab kuch
  • Ek extra invite — Haldi, Sangeet ya Reception — usi style mein
  • 7 din tak jitne chahe badlav
  • Preview 24 ghante mein
  • Link 1 saal live
Ye wala chahiye

Advance 50%. UPI. Baaki link live hone se pehle.

Kaun bana raha hai

Mohit

Software developer, Gurugram. Har invite khud banata hoon.

Sawaal

Kitne din lagte hain?

Pehla preview 24–48 ghante mein. Plan ke hisaab se thoda jaldi bhi — upar Kitne ka mein likha hai.

Kitne changes kar sakte hain?

Plan ke hisaab se — upar dekh lijiye. Chhoti galti — naam, time, spelling — hamesha free, jitni baar ho.

Link kab tak live rahega?

Plan ke hisaab se, shaadi ke baad bhi. Aage badhana ho to bata dijiye, ho jaayega.

Payment kaise hota hai?

UPI. 50% advance, baaki link live hone se pehle.

Pasand na aaye to?

Pehla preview pasand na aaye aur hum theek na kar paayein, to advance wapas.

Photos aur details safe?

Sirf aapke invite ke liye. Link Google pe nahi aata. Shaadi ke baad kehoge to delete.

Photos aur gaana kaun deta hai?

Aap. WhatsApp pe bhej dijiye — crop, compress aur set hum kar dete hain. Gaana aap bhejiye. Na ho to hamare paas royalty-free instrumental hain.

Har religion aur event ke liye?

Haan. Nikah, Anand Karaj, Christian wedding, engagement, reception, mundan — cover ke shabd aur emblem aap chunte hain: Ganesh ji, Ik Onkar, ya koi dharmik chinh nahi (phool ka medallion). Rasm ke naam bhi aapke hisaab se.